Kanz e Aza

Khuda khayr kare

A noha (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Khuda khayr kare

Alamdar alamdar alamdar..(5)

Jab hui der alamdar ko darya pe gaye..(2)

ashke ghum zainab e dilgeer ki ankho se gire

boli ye zainab e lachaar..khuda khair kare

dekhiye sayyade abraar...khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar

dekho darya ki taraf mauje darya ki taraf kyu nahi aaya alamdaar khuda khair kare

1. Haan yahi kehke sakina se gaya tha ghaazi

izn baba se dila do to mai laau pani..(2)

legaya mashk wafadaar..khuda khair kare

wo hai paani ki talabgaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


2. Sukhe kooze liye hatho me khade hai pyase

ab to aa jana tha ghaazi ko mere darya se..(2)

hogaye pyaase dilafgaar..khuda khair kare

jaa balab jeene se bezaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


3. Raasta mere alamdaar ka takte hai sabhi

hai koi mehwe dua koi padhe naade ali..(2)

keh raha hai dile ghumkhwaar..khuda khair kare

alqama par hai sitamgaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


4.  Paasba khaima e shabbir ka ab koi nahi

aasra zainab e dilgeer ka ab koi nahi..(2)

roke kehta hai dile zaar..khuda khair kare

wo hai chadar ka nigehbaan..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


5. Sunke zainab ki sada ran ko chale shaahe hoda

thokre khate kamar thaame hue mehwe buka..(2)

boli kulsoom dilafgaaar..khuda khair kare

kaun hai sheh ka madadgaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


6. Khoon me dooba alam aaya jo zainab ko nazar

apne nazdeek sakina ko bulaya rokar..(2) phir ye kehne lagi lachaar..khuda khair kare

ab nahi kehna dilafgaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..


7. Shor e ghum mazhar o irfan qayamat ka utha

jab alam aaya to shabbir se zainab ne kaha..(2)

kuch batao mere ghumkhwaar..khuda khair kare

jab alam aaya hai sarkaar..khuda khair kare kyu nahi aaya alamdaar..