Kanz e Aza

Karbala ki kahani

A noha (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Karbala ki kahani


Hussain hussain * 8

Aao Ae Ahle Jahan

Aao AE Tiflo Jawan

Me sunata Hu tumhe Ek Pyase Ki Kahani

Mohammad Ke Nawase Ki Kahani

Yani karbala Ki Kahani

Rone Walo Suno PursaDaro Suno *2  Soghwaro SUno Maatamdaro Suno

Ek Halke Me AAjao Maatamkare

Farz Jo HAi Lahoo Par Ada Hum Kare

Ghar Mohammad Ka Kis Tarah Luta Gaya

Bas isi Gham Me Karna Hai Maatam Bapa

Aane Wali Har EK Nasl BAyn Kare

Saari Dunia Hussain Hussain kare * 2

Mere Kamsin Hussainio


Karbala Ki Kahani Suno *3


Is Kahani Me Zehra s.a Ka Ghar Bhaar HAi

Inka Beta Jo Jannat Ka sardar Hai

Markazi Is Kahani Ka Kirdar Hai

Uska Ek Bhai Hai jO (alamdar Hai) *2

Tum Tasavvur Me Maqtal Chalo


Karbala Ki Kahani Suno *4


Nusrate Haq Ki khatir Woh Ghar Se Chala

2 Moharram Ko Pahoche The KArbobala

Maao Behno KA Baccho KA Bhi saath Tha

7th vi Se Musafir Ko (pyasa rakha)*2

is Musibat ka maatam Karo


Karbala Ki Kahani Suno *3


Subh Ashur Kaisi Ibadat Hui

Teer Chalte Rahe Aur Jamaat HUi

Ek Ek Karke Sabki shahadat Hui

Asr Ka waqt Aaya (Qayamat Hui) * 2

Apne haathon Se Dil Thamlo


Karbala Ki Kahani Suno *3


Us Taraf Laakhon Aur the Bahatthar Idhar

Kat gaye Banme Tiflo Jawan Sab ke Sar

Reh Gaya Ban Me Tanha Ali Ka Pisar

Di Sada Sheh Ne halmin Ki BaChashme Tar * 2


Halmin Nasirin Yansurana Aur Fir FArzande Zehra S.a Akele Hogaye

Na Akbar Hai Na Kasim Hai Na Abbas hai Na Auno Mohammad hai Na Koi Nisar Baaki Raha

Maqtal Me Imam Hussain a.s Sada De Rahe The

Halmin Nasirin Yansurana


Koi Hai Jo Meri nusrat Ke Liye Aye

Sunke Isteghasae Shahe Karbala Hussain

Wo jo Ek Bhai Sheh ka alamdar Tha Abbas

Uska Sahil Pe Laasha Tadapne Laga


Haay Hussain

Sheh Ne HAsrat Se Charo TAraf Ki Nazar

Haye Hussain

Koi Bhi To Nahi Tha Waha


Haye Hussain

Al garaz Sheh ne Lashkar Pe Hamla Kiya

Hussain hussain Aur Rajaz Ye Pada

Jang Ab Uski Dekho Zara Shamiyon


Jiska Koi NA Baaki Raha Shamiyon

Jiske Qasim Ko Tukde kiya Shamiyon

Hue Auno Mohammad Juda Shamiyon

Jiska Ansar ek Na Raha Shamiyon


Jiska Abbas jaisa Baradar Gaya

Jiske Akbar Ke Sine Me Naiza Laga

Bezaban Bhi Gaya Aur Kuch Der Me Surkh Darya Ka Pani Hua Aur Fir haatife Gaybi ki  Aayi Sada * 2

Ya Ayyatohan Nafsul Mutmainnna Irjaee Ela rabbeke raziyatam Marziyaa


jab Imam Hussain a.s Ne sada Suna

To Fir Apni Talwar Ko Myan Me Rakh Diya aur fir ek sada ko baland kiya

Aao Ae teero aao Ae Talwaro Aao Ae Pattharo Mujh Pe Aao Barso

Bas maula ki sada baland hui Kahi Se Teer Chale Kahi Se Talware Chali kahi Se Patthar Barse Aur Mere Maula hussain Lahoo Luhan Ho Gaye


Laakhon ke Lashkar Aise Bhi LOg The Jiske Haath Me Jiske Haath me Jo Chiz AAyi Usne Imam Hussain a.s Par Barsana Shuru Kiya

Tanha Hogaya Fatema s.a KA Laal * 2

Chur Zakhmo Se Zehra s.a Ka Lakhte Jigar

Haye Hussain a.s


Gir Gaya Pushte Rehwaar Se Khak Par

Andhiyan  Surkh Chalne Lagi Aur Zameen Khun Ugalne Lagi

Khund Khanjar Chala Halke Shabbir Par

Ek Tille Pe Zainab Ne ROkar Kaha


Haye Hussaina *3


Karbala Ki Kahani Suno *3


Baade Qatle Shahe Din Jafa Yu Hui

Hogaye Ban Me paamal Laashe sabhi

Sir Sina par Gaye Lash ban me rahi

Ban Me Nakkahare bajne Lage Us Ghadi * 2

is Masaeb Pe Girya karo


Karbala Ki Kahani Suno*4


Din Dhal Gaya Aur Sham Aagayi * 2

Aagaye Lutne Bibiyon ko shaki

Saare Khaime Jale Sabki Chadar Chini

tapta Sehra tha * 2


bas aur ale nabi aur pehre pe binte ali aagayi

rote rote ye shab kati sadaat ne

subh hote hi sadaat qaidi bane

ek rasan zulm ki aur 12 gale


tauk zanjeer me maula sajjad a.s the

janibe sham ahle haram jab chale

ek ek lash be sar pe rote hue

Bain Zainab ke the lashe Shabbir pe


Janib e Sham jate hain ham sar khule

Meri hasrat hain matam tera na ruke Aur Mazhar tera yeh masaeb likhe

Tera Farhan tere masaeb padhe

Sari duniya teri yeh kahani sune


Anewali har ek nasl bain kare

Sari duniya Hussain Hussain kare.....x2

Kitna taweel hain Hussain ka safar

Ek nasl khatam hoti hain dusri tayyar khadi  hain


Socho to aql hairan hain

Ek shakhs kayi sadiyon baad bhi dilon par hukmarani kar raha hain

Yeh thi Karbala ki kahani

Yeh thi pyaase ki kahani


Mohammed ke nawase ki kahani