Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
Tumhe Dua-e-Dil-e-Fatima Bulati Hai
Ghareeb-e-Pisar-e-Mustafa Bulati Hai
Huzoor-e-Shah-e-Raza-e-Khuda Bulati Hai
Baadi Umeed Se Rahe Wafa Bulati Hai
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
1.Payam Bheja Hai Lakhte Dil Payambar Ne
Kiya Hai Yaad Tumhe Fatima Ke Dilbaar Ne
Aata Kiya Hai Maqaam-e-Ahem Muqaddar Ne
Batour Ke Khaas Bulaya Hai Tumku Sarwar Ne
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
2.Nabi Ka laal Hai Fouj-e-Sitam Ke Narge Me
Rasool Zadiyan Deshat Zada Hai Khaime Me
Laraz Raha hai Mazar-e-Nabi Madine Me
Habeed Chain Se Tum Kis Tarha Hu Kufe me
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
3.Furath Band Hai Do Din se Khanwade Par
Jaame Howe Hai Magar Shah-e-deen Irade Par
Padha Hai Waqt Mohammed Ke Shahazade Par
Utho Badhou Khadam Dosti Ke Jaade Pa
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
4.Sitamgarou Ke Jo They Belagam Aatey Hai
Goruh Qatilou Ke Subho Shaam Aatey Hai
Koi Hi Dum Me Tahe Tekh Imam Aatey Hai
Issi Ghadi Me Toh Asbab Kaam Aatey Hai
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
5.Chalo Hussain Ki Gurbath Bulari Hai Tumhe
Ghareeb Dost Ki Nusrath Bulari Hai Tumhe
Tumhari Khub Hai Khismat Bulari Hai Tumhe
Chalo Uroos-e-Shahadath Bulari Hai Tumhe
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
6.Luta Jo Sheh Ka Bhara Ghar Toh Jee Na Paunge
Rahe Na Akber-o-Asghar Toh Jee Na Paunge
Haram Howe Jo Khule Sar Toh Jee Na Pauge
Shaheed Hogaye Sarwar Toh Jee Na Paunge
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
7.Chalo Ke Syed-e-Abrar Intezar Me Hai
Hussain-e-Bekas-o-Mazloom Intezar Me Hai
Tamam Itrath-e-Athar Intezar Me Hai
Salam-e-Zainab-e-Lachar Intezar Me Hai
Utho Rifakhat-e-Shah-Huda Bulati Hai
Chalo Habeeb Tumhe Karbala Bulati Hai
8.Dil-e-Habeeb Me Tufaan-e-Bekharari Tha
Tha Naama Haathou Me Aankhou Se Ashk Jaari Tha
Habeeb Shah Pe Manzoor Waqt Bhari Tha
Zuban Pe Kalma-e-Nusrath Yeh Istarari Tha