Kanz e Aza

Aza e Hussain

A noha written by Musadiq Lakhani. Lyrics in Roman Urdu.

hikayat ishq ki jaari rahegi

shaoor o rooh par taari rahegi

zamane ke yazeedon ko batado

qayamat tak azadari rahegi


hussain walon ki tarze wafa aza e hussain

yazeed waale mitayenge kya aza e hussain


hamein ye tarz e ibadat hai jaan se pyari

ye ghar ye maal ye aulad is pe sab waari

hamare khoon ki gardish mein hai azadari

butool e paak ke dil ki dua aza e hussain

hussain walon ki tarze...


jo kat gaya hai wo sookha gala na bhoolenge

jo lut gayi wo muqadas rida na bhoolenge

qasam khuda ki kabhi karbala na bhoolenge

hamara jeena hai majlis buka aza e hussain

hussain walon ki tarze...


wo raah e kufa ke aalaam kis tarha bhoole

yazeed o shimr ke iqdaam kis tarha bhoole

ye bhool jaaye magar shaam kis tarha bhoole

sha'aar abid e bemaar ka aza e hussain

hussain walon ki tarze...


jahan mein aaye hai hum karbala ka gham lekar

jahan se jayenge ek roz chashm e nam lekar

marenge haath mein abbas ka alam lekar

karenge qabr mein jaa kar bapa aza e hussain

hussain walon ki tarze...


ye gham bayad e shah e mashraqain zindabad

ye shor e majlis o matam ye bain zindabad

sada lagao aza e hussain zindabad

karenge aur bhi ahle aza aza e hussain

hussain walon ki tarze...


zaban pe nauha hai akbar ki naujawani ka

dilon mein dard hai asghar ki bezabani ka

wo jin ko mil na saka ek ghoont pani ka

batao kyun na kare ham bhala aza e hussain

hussain walon ki tarze...


jise hai zulm se nafrat wo karbalayi hai

jo haq ka chaahne waala hai apna bhai hai

yazeedi fikr se apni faqat ladayi hai

kisi bhi shakl mein ho bapa aza e hussain

hussain walon ki tarze...


wo qaidi jis ne aza ka ye beej boya hai

wo jisne tauq e garan aansuon se dhoya hai

tadap tadap ke jo chalees saal roya hai

usi se pooch musadiq hai kya aza e hussain

hussain walon ki tarze...