aza e sarwar karenge har dam
dua e zehra wajood apna
musibaton mein bas inki rona
lahoo lahoo ho har ek seena
har aankh ho bas lahoo se pur nam
aza e sarwar karenge har dam
ye maqtal e karbala hi haq hai
har ek chehra quran waraq hai
ibadaton ka yahan sabaq hai
ay ahle emaan hussain ka gham
aza e sarwar...
jo aaye ran mein ali ke paale
galay mein maut ki baahein daale
bade hi armaan e jang nikaale
labon pe shukre khuda tha har dam
aza e sarwar...
thi shaan e abbas misle hyder
thi dhaal sheh ki haram ki chadar
kate do shaane shigaafta sar
har aaj tak bhi buland parcham
aza e sarwar...
shabihe ahmed ki naujawani
hussain o zainab ki zindagani
na paaya waqt e akheer pani
hamesha taaza rahega ye gham
aza e sarwar...
salaam shiyon ko kar ke agha
ye bole pani piyo jo thanda
to pyaas ko meri yaad karna
hayaat saari na bhoolenge hum
aza e sarwar...
wo waqt e ruqsat pe jaan e zehra
tha bibyon mein ek hashr barpa
gala kataane chala jo pyasa
ulat ke masnad bichi saf e gham
aza e sarwar...