Kanz e Aza

Aye kufiyo

A noha (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Aye kufiyo

Ghul machate be adab wo kufiyaane bad zabaan..(2)

wahshato'n ke dayere mein thi ali ki betiya'n

zalimo ke saamne, qatilo'n ke darmiyaa'n

choti dukhtare ali ki aa rahi thi ye sadaa

hussainnn...

nauha ye tha kulsoom ka, aye kufiyane bewafa..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa

hai tumhe khabar, tum ho aashna

kiska ghar luta, kiska khoo'n baha

haye tumne ye kya kar diya

kisko loot kar, ghar jala diya

hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

1. Us hussain ko qatl kar diya

jiske paas hai marziye khuda

deen jiske ghar surkhroo hua

jis hussain ka, nana mustafa(s.a.w.w)..(2)

jis hussain ka, baba murtaza(a.s.)

jis hussain ki, maa hai sayyeda(s.a.)

ru baru agar hoga saamna

kaise jaoge peshe kibriya(s.w.t)..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa

hai tumhe khabar, tum ho aashna

kiska ghar luta, kiska khoo'n baha

haye tumne ye kya kar diya

kisko loot kar, ghar jala diya

hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

2. Zulm kaunsa humpe na hua phir bhi hum rahe raazi ba raza

bhai ko mere dhoka dediya

saath na diya, akela kar diya..(2)

pehle khat likhe aur bula liya phir ghareeb ka khoo'n baha diya

mat zameen par tum bano khuda

waqt hai qareeb hoga faisla..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa

hai tumhe khabar, tum ho aashna

kiska ghar luta, kiska khoo'n baha

haye tumne ye kya kar diya

kisko loot kar, ghar jala diya

hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

3. Aye kufiyo, zulm hogaya

aale mustafa se muqabela

itrate nabi hum hai ba khuda

zere aasma'n sar khula hua..(2)

baandh kar hame qaid kar liya aur phir hame baaghi keh diya

jis ke nana se deene haq mila

us nawase ko ye sila mila

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa

hai tumhe khabar, tum ho aashna

kiska ghar luta, kiska khoo'n baha

haye tumne ye kya kar diya

kisko loot kar, ghar jala diya

hai zabano par kalma e khuda phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

4. Wa museebata, wa museebata

wa museebata, yu chaman luta

gher kar hame, laaye karbala

band hum pe phir paani kar diya

qatl kar diya ghar ka ghar mera

sayyedo ke sar kar diye juda

zulm ki hui hampe inteha

tum pe waay ho haay kya kiya

ajr e mustafa yu adaa kiya..(2)