Asghar e besheer jaisi qabr
Haay Abbas (4)
Haay mera Abbas(4)
Ro rahi hai soch kar(2) ummul banee yeh aaj bhi(2)
Asgare beysheer jaisi qabr hai Abbas ki
1)Rashk karti thi mein akse haidare karrar par
Paau Khat dete the uske baith kar rahwaar par
Haay mere Sher ki(2)
Yeh kaisi haalat hogayi
2) Mar ke bhi usne nibhaaya mujh se jo waada kiya
Apne bete ki wafa par fakr hai mujhko bada
Ab nahi asgar ki Maa se kuch mujhe sharmindagi
3)baap ke badle musalmaano ne bete se liye
Sar juda hai tan juda baazu juda hai sher ke
Aapki tasveer tukde hogayi hai ya Ali
4) kaun lad sakta tha usse kis mein tha itna jigar
Sunti hoo nau laakh ne maara hai usko ger kar
Laash bhi uski salamat dasht mein rehne na di
5) kya qado qaamat thi uski yeh use maalum tha
Ek ghad di mein simat kar kaise qasim aagaya
Umme farwa jaanti hai kya hai meri bekasi
6)kab samaata tha meri chaadar mein tu ae mere laal
Kar diya hai zaalimo ne yeh tere laashe ka haal
Hai meri sar ki Rida bhi Teri turbat se badi
7)kehke ya Abbas karta hai wo ashko se wuzu
Darti hoo jaari na ho phir uski aankho se lahu
Saamne aabdi ke yu kehti nahi hoo mein kabhi
8)ro ke karti hai salam un ko takallum Karbala
Fatima Zahra se Maa bete ne ki aise wafa
Maadare Abbas ki turbat bhi hai tooti hui