Udaas Udaas Hai Sab Bibiyan Shab-e-Aashoor
Hai Kitna Dard Me Dooba Saama Shab-e-Aashoor
1.Sadaien Aati Hai Zainab Ku Kiske Rone Ki
Hai Bun Me Moh-e-Buka Koun Maa Shab-e-Aashoor
2.Aatash Ka Teesra Din Dasht Me Tamam Howa
Hai Pyasa Jhule Me Ek Bezuban Shab-e-Aashoor
3.Sawarne Laagi Roro Ke Bewa Maa Zulfey
Bhot Haseen Laaga Noujawan Shab-e-Aashoor
4.Charaq Gul Howa Lekin Wafaien Roushan Hai
Ajeeb Shan Ka Hai Imtehan Shab-e-Aashoor
5.Sitam Ki Fouj Me Qatl-e-Hussain Ki Khatir
Jaage Jaage Pe Hai Taiyarian Shab-e-Aashoor
6.Khud Apne Hathou Se Aakar Alam Uthate Hai
Juloos-e-Gham Me Imam-e-Zama Shab-e-Aashoor
7.Aazan Khena Hai Akber Ku Subha Ki Fidwi
Hai Dono Kushk Gaala Aur Zuban Shab-e-Aashoor