salaami karbala mein jab huwe shabbir ke tukde
uday quran ke purze huwe tafseer ke tukde
udhar maqtal mein bhai ke galay pe taygh chalti thi
idhar qaime mein hote thay dil e hamsheer ke tukde
salaami karbala mein jo...
ye mazloomi ka aalam tha gade thay jism e athar mein
tabar ke neemche ke teer ke shamsheer ke tukde
salaami karbala mein jo...
zuban se lafze allah keh ke ro dete thay abid
tumhari yaad mein akbar huwe takbeer ke tukde
salaami karbala mein jo...
aseer e shaam ka ye haal tha ranj e masafat mein
ke ghis ghis kar huwe thay paon ki zanjeer ke tukde
salaami karbala mein jo...
meri hichki bandhi zikre ghame shabbir mein nayyar
huwe hai josh e girya se meri taqreer ke tukde
salaami karbala mein jo...