humko hai apni jaan se pyara ghame hussain
khayam rahe jahan may khudaya ghame hussain
roze alast poocha gaya kya pasand hai
be-yekhtiyar humne pukara ghame hussain
qayam rahe jahan may...
jab chaaha sayyeda ke qadam aaye ghar mere
farshe aza bichaya manaya ghame hussain
qayam rahe jahan may...
kamzarf ko jahan may mila jab bhi iqteda
pehle bana sitam ka nishana ghame hussain
qayam rahe jahan may...
har kufr o zulm o jor o tashaddud ke saamne
hai aaj bhi mahazon pe tanha ghame hussain
qayam rahe jahan may...