Kanz e Aza

Hum Zinda Hai

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

hum zinda hai matame shabbir ke liye


daure umayya may ye kiska khoon tha jo ke behta tha

ahle wafa ko ahle aza ko deewaron may chuna gaya

phir bhi ek sada e payham aati thi deewaro se

hum zinda hai…


har jaabir se har zaalim se hum thay jo takrate thay

is matam ki khaatir humne ghar ke ghar qurban kiye

ghalib aakhir haq aaya baatil ne ghutne tayk diye

hum zinda hai…


toofano ki zad pe hamesha hum ne diye jalaye hai

itne ziddi sarkash haasid humko mitane aaye hai

deewano ke khaab adhoore ab tak poore ho na sake

hum zinda hai…


ahlebayt ke dar ko chode apna ye kirdaar nahi

har insan ko rehbar kehde ye apne atwaar nahi

kal bhi jo apna maula tha aaj bhi apna maula hai

hum zinda hai…


kuch deewane hai aise bhi karbobala ko bhool gaye

allah allah yaad rakha aur aale abaa ko bhool gaye

raahe wafa se hatne walon tumko kaun ye samjhaye

hum zinda hai…


sar de kar ghar baar lutakar hum ne ye gham paaya hai

iski khaatir jaane kitna apna khoon bahaya hai

jo khoon sare tareekh baha us khoon ke katre bol uthe

hum zinda hai…


jazbaye meesam lekar hum ne nafrat ka rukh mod diya

zulm o sitam ki zanjeero ko apne amal se tod diya

naam o nishan tak mit jaate hai hum ko mitane walon ke

hum zinda hai…


nauhagaro aur seena zano ko zainab deti hai ye dua

ghar na ujde haye kisi ka jaisa mera ghar ujda

bas ek armaan hai zainab ka qaayam ye gham sada rahe

hum zinda hai…