Kanz e Aza

Fatema Zehra ka

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

fatema zehra ka ya rab khoob hai gulzaar bhi

gul hi gul hai aur nazar aata nahi ek khaar bhi


paanch harf islam may hai paanch harf emaan may

panjetan islam hai emaan ka minaar bhi

fatema zehra…


waqte aakhir roke ye sheh se kaha abbas ne

ran may hoo chahta hoo aaqa aap ka dedaar bhi

fatema zehra…


sayyede sajjad ke sar par qayamat aagayi

sar barehna hai haram aur shaam ka bazaar bhi

fatema zehra…