aaj hai khaafile ki khaafila salaar behan
utho bhaiya ke watan jaati hai lachaar behan
shimr ne maare sakina to tamache bhaiya
sehm ke khauf se wo rone na paayi bhaiya
ghaiz se kaamp gayi aap ki lachaar behan
utho bhaiya ke watan...
jis ghadi ranj o bala se mai suye shaam gayi
baalon se moo ko chupayi thi na kuch dekh saki
is liye kar na saki bhai ka dedaar behan
utho bhaiya ke watan...
haye karta tha dandaan se wo be-adabi
aap ke sar se itra ke phiraata tha chadi
haath malti thi tadap kar teri lachaar behan
utho bhaiya ke watan...
dar badar zaalimon ne bhaiya phiraya hum ko
cheen ke sar se rida qaidi banaya hum ko
nange sar dekh chuki shaam ka bazaar behan
utho bhaiya ke watan...
hum ko kuffaar ki jaanib se nawazish ye hui
khoon baha leke khata baksh ki khwahish ye hui
kis tarha karti qabool aap ki ghamkhwar behan
utho bhaiya ke watan...
bhaiya mai aap ko do gaz bhi kafan de na saki
chalte chalte bhi tumhe pursa behan de na saki
kis khadar dasht may majboor thi lachaar behan
utho bhaiya ke watan...
de ke abbas ko awaaz bula do bhaiya
aake tum mujhko amaari may bitha do bhaiya
tum se karti hai ye minnat teri ghamkhwar behan
utho bhaiya ke watan...
so chuke neend se utho mere bhaiya utho
apni sughra ke liye koi nishani de do
saath milne ke liye karti hai irqraar behan
utho bhaiya ke watan...
khoon may dooba hua baysheer ka kurta lekar
aur sakina ka wo toota hua bunda lekar
nana ke rauze pe chalne ko hai tayyar behan
utho bhaiya ke watan...