Kanz e Aza

Aagaya Bajaaz Ali Akbaram

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Agaya bazaar Ali Akbaram,

Ghash me hai bimaar Ali Akbaram...


Ashk bahale yeh maa,

Sadqa nikale yeh maa,

Tumko sajale yeh maa,

Dulha banale yeh maa,

Aao jo ek baar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Hichkiyan le le ke maa,

Sunti hai jab bhi azaan,

Tan se nikalti hai jaan,

Lagti hai dil par sina,

Chalti hai talwaar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Agayi shame bala,

Hoti hai maa berida,

Bhool gaye maa ko kya,

Sunte nahi kyun sada,

Maa ke madadgar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Gham se churao ose,

Shakl dikhao ose,

Le ke toh aao ose,

Bhool na jao ose,

Sughra hai bimaar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Woh jo hai maa ki misaal,

Zainabe barqista haal,

Jisne rakha hai qayal,

Pala hai atthara saal,

Zainabe lachaar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Ae mere kadiyal jawan,

Maa ke bandhi resman,

Chalne ko hai karwan,

Tum ho na jane kahan,

Dekho toh ek baar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Tum nahi hona malool,

Maa ko sitam sab qabool,

Sar pe agar che hai dhool,

Bachgaya deene Rasool,

Lut gaya ghar baar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Agaya darbare shaam,

Jamma hai sab qaso aam,

Hansta hai yeh be lagaam,

Bibiyon ka leke naam,

Majmae aghiyaar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....


Hai ye sadaye navaid,

Dar pe jo aaye navaid,

Sadqa jo paye navaid,

Leke woh jaye navaid,

Ae mere sarkaar Ali Akbaram...

Agaya bazaar Ali Akbaram.....