Kanz e Aza

Zainab e moula raza masooma

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Fatima, Ya Tahera

Ya Khwahar e Maula Raza

Ya Sayyada, Ya Shafe'a

Ya Binte Rasul e Khuda

Ya Aalimah, Ya Zahida, Ya Saleha ukht ur-Raza

Tasveer e Rukh e Fatima

Masooma, Masooma

Dukhtar e Sher e Khuda, Masooma

Zainab e Maula Raza, Masooma

1) Tere khuddaam mujhe jaante hein

He ye ayzaaz mera, Masooma


2) Jis ko kehta he Khuda Baab e Murad

Aap hein uss ki dua, Masooma


3) Aaj bhi baant ta he Bayt e Noor

Chaand, suraj ko ziyaa, Masooma


4) Mukhtasir Nad e Ali he ye bhi

Dekh keh kar zara Ya Masooma


5) Choom ne aati he Bibi Maryam

Aap ke sar ki rida, Masooma


6) Us ne Mashhad se dua li jis ne

Naam beti ka rakha, Masooma


7) Baad me Zahra likha he me ne

Pehle kaaghaz pe likha, Masooma


8) Saray Masoomo'n Nay Aey Shahzadi

Tum Ko Masooma Kahan, Masooma


9) Pass Parday Ka Jin Behno Ko

Un Ko Deti Hai Dua, Masooma


10) Baap Bhi Bhai Bhatija Bhi Wali

Hain Wilayat Ka Pata, Masooma


11) Kuch Nahi Kuch Bhi Nahi Mir Hasan

Tairay Khadim Kay Siwa, Masooma