hai betiyan zahra ki kufe ka nagar logon
chadar ki jagah sar par hai khaak e safar logon
kal ummat e ahmed ne darwaza jalaya tha
darwaza jalaya tha zahra pe giraya tha
ab loota hai ummat ne phir aaj wo ghar logon
hai betiyan zahra ki...
jo tauq may jakda hai shabbir ka beta hai
shabbir ka beta hai bemaar hai tanha hai
wo kis tarha kaatega tanha ye safar logon
hai betiyan zahra ki...
ek bibi jo zainab hai kufe ki hai shehzadi
maa fatema hai iski aur parde ki hai aadi
us samt nahi daalo tum apni nazar logon
hai betiyan zahra ki...
ek bacchi yateema hai aur naam sakina hai
na ammu ki godhi hai na baap ka seena hai
is bacchi ab hoga zindan may ghar logon
hai betiyan zahra ki...
sadaat hai ye in par sadqa to nahi phenko
ye phool hai zahra ke pathar to nahi maaro
kya tum ko nahi kuch bhi allah ka darr logon
hai betiyan zahra ki...
kulsoom hai bechadar zainab bhi khule sar hai
sad haif sakina ke cheene gaye gohar hai
ye dekh ke rota hai abbas ka sar logon
hai betiyan zahra ki...
hum naala kuna maajid hum pairawe sarwar hai
hum matami akbar ke hum nasir e asghar hai
matam may hi karte hai hum umr basar logon
hai betiyan zahra ki...