Kanz e Aza

Kaise milta hai khuda dekh liya hai mai ne

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Kaise milta hai khuda dekh liya hai mai ne

Jaa ke khud karb o bala dekh liya hai mai ne


Tere kheme ka diya dekh liya hai mai ne

Kitni be bas hai hawa dekh liya hai mai ne


Roz khaskol uthai chala aata hoon Hussain

Tera darwaza khula dekh liya hai mai ne


Haza man fazl Hussain ibn e Ali o Zehra

Hur ke mathe pe likha dekh liya hai mai ne


Tere sadqe mai ae Abbas dilawar ke alam

Kese chalti hai hawa dekh liya hai mai ne


Samne karta hai beta mera sheh ka matam

Kiya hai anjam mera dekh liya hai mai ne


Mushkilen janen aur ab jane Alamdar Hussain

Janib e karb o bala dekh liya hai mai ne


Wahib kehta tha mai qalma na parhoon kyun Maula

Teri ankhon mai khuda dekh liya hai mai ne


Turbat Fatima zehra pe kiya hai matam

Khuwab to qad se bara dekh liya hai mai ne


Ali akber meri imdad ko aaye Akber

Kis ko kehte hain ataa dekh liya hai mai ne