Kanz e Aza

Husain baat rahe hai nijaat le jao

A manqabat for Imam Hussain (a.s), written by Mir Hassan Mir (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Husain baat rahe hai nijaat le jao

Husain baa'nt rahe hai, nijaat le jao

Batool baa'nt rahi hai, nijaat le jao

Husain baa'nt rahe hai, nijaat le jao


Kuch aansuo'n ke ewaz kayenaat le jao

Batool baategi sadqa hussain ka is raat

samet sakte ho jitna wo saath le jao

Ye karbala hai ye mojiznuma ki basti hai


kafan mein is ke lapeto hayaat le jao

Jo aaj tak na mila ho tumhe khuda ki qasam

wo aake teesri shabaa'n ki raat le jao

Kahenge matami halqo se log mehshar mein


hume husain ki jannat mein saath le jao

Hai jisme baara(12) imamo ke naam likhe hue

lahad mein saath islaamiyaat le jao